Friday, 22 June 2012

Samay




Samay ka har pal
Jo ji leta aaj kal
Gujarta har shad aise 
Jharne ka pani ho jaise 
Waqt ki jo samje kimat
Moti bankar chamke kismat
Shad shad badle jeevan uska
Jo samjhe har pal ko aapna 
Titali ke pankho ke jaise
Badalta har waqt aise
Lamho ka pahiya jab chalta 
Har din lagta sab khuch achchha 
Lekin jab wo chala jata 
Pichhe kuchh na rah jata
Pal pal ko jab rakhe sang
Tabhi rahe jeevan me umang

No comments:

Post a Comment